peeth peeche kaha nahin hota
tumse koi gila nahin hota
jo khaffa hai khaffa nahin hota
humne gar sach kaha nahin hota
zikr unnka chhida nahin hota
zakhm dil ka hara nahin hota
tum jutaao zara-sii himmat toh
dekho phir kya se kya nahin hota
eent-pathar na chalte aapas mein
ghar ye hargiz fana nahin hota
kya samjhta guroor kya shai hai
vo jo uthkar gira nahin hota
kuch na kar paata koi tufan bhi
bhaag mein gar badaa nahin hota
naav kyun usske haathon saunpi thi
nakhuda toh khuda nahin hota
aaj hote na balmiki agar
van-ghaman ram ka nahin hota
dard ki chashni mein jo na pakke
khud se vo aashna nahin hota
koi saagar kahin na hota agar
ik bhi dariya baha nahin hota
prem khud ki tarah na sab se kare
phir vo 'darvesh'-sa nahin hota
Dr. Darvesh Bharti ji,
ReplyDeletePlease log on- www.sahitya-prakash.blogspot.com
Sanjay Saral
09074447084
darvesh sahab aap ki khidmat mey do sher bhej raha hoon tasdiq e nazar se dekh ne ki taqlif kare------1---kya bemisal ishq hai yeh rooh e- jism ka-----------------------------------------------------------kanchan sa tan firaq mey mati ka ho gya-------------------------------------------------------2--kitna yaqin khuda ko tha bande pe dekhiye---------------------------------------------------ke bewafa ke hath mey duniya hi sopdi
ReplyDelete