Friday, June 5, 2009

faheem ki shayyiri

zindgi ko azaab kar dala
tere ghum ne kharab kar dala
raqs karti hain khahishen shab bhar
humne dil ko nawaab kar daala
dasht-e-duniya mein iss qadar bhatka
har khushi ko saraab kar daala
ashk itne baha gaya koi
dil ka aangan chanaab kar daala
zabt ki koi inteha bhi ho
ashk daryaa hubaab kar daala
baat banti nazar nahin aati
humne sab kuch janaab kar daala
chaal aisi chalai hai yaaron ne
har haqiqat ko khwab kar dala
teri yaadon ko moatbar janaa
aur dil ka nisaab kar daala
kis jazbe ki aag dekhi hai
dil samandar be aab kar daala
kyun nazren lagi hain rahon pe
kisi ki aamad ke muntazir ho 'faheem'
kis ne itna betaab kar daala

No comments:

Post a Comment

wel come