dasht-e-tanhai mein ae jaan-e-jahan
larzaan hain
teri awaaz ke saaye
tere honton ke saraab
dasht-e-tanhai mein
duuri ke khas-o-khaaq tale
khil rahe hain
tere pehlu ke samand aur gulab
utth rahi hai kahin qurbat se
teri saans ki aanch
apni khushboo mein sulgti hui
madham madham
duur ufaq par chamakti hui
qatra qatra
gir rahi hai
teri dildar nazar ki shabnam
iss qadar pyar se ae jaan-e-jahan
rakha hai
dil kae rukhsaar pe iss waqt
teri yaad ne haath
yun gumaan hota hai
garchai hai abhi subh-e-firaat
dhal gaya hizr ka din
aa bhi gayi wasl ki raat
No comments:
Post a Comment