faiz ahmed faiz ki shayyiri
bahaar aayi toh jaise ek baar
laut aaye hain phir adam se
vo khwab sare, shabab sare
jo tere honton pe mar mite thay
jo mit ke har baar phir jiiye thay
nikhar gaye hain gulab sare
jo teri yaadon se mushk_buu hain
jo tere ushshaaq ka lahu hain
ubal pade hain azaab sare
malaal-e-ahaval-e-dostan bhi
khumaar-e-aagosh-e-mahvashan bhi
gubaar-e-khatir ke baab saare
tere hamare, savaal sare, javab sare
bahar aayi toh khul gaye hain
naye sire se hisab sare
No comments:
Post a Comment