dil mein ab yun tere bhule huye gham aate hain
jaise bichhade huye kaabe mein sanam aate hain
ik ik karke huye jaate hain tare roshan
meri manzil ki taraf tere qadam aate hain
ras-e-mai tez karo, saaz ki lai tez karo
su-e-mau_khana safiraan-e-haram aate hain
kuch hamin ko nahin ehsaan uthane ka dimag
vo toh jab aate hain, ma’eel ba_karam aate hain
aur kuch der na guzre, shab-e-furqat se kaho
dil bhi kam dukhta hai, vo yaad bhi kam aate hain
No comments:
Post a Comment