himat-e-iltiza nahin baqi
zabt ka hausla nahin baqi
ik teri deed chiin gayi mujhse
varna duniya mein kya nahin baaqi
apni mashq-e-sitam se haath na khench
main nahin ya waffa nahin baqi
teri chashm-e-alam-nawaz[dukh me sahara] ki khaiir
dil mein koi gila nahin baqi
ho chukka khatm ahd-e-hizr-o-wisal
zindgi mein mazza nahin baqi
No comments:
Post a Comment