ashq mein vo tari kahan hai miyan
gham mein vo taazgi kahan hai miyan
aadmi aadmi kahan hai miyan
zindgi zindgi kahan hai miyan
log jis zindgi ko karte hain yaad
ab vo zindgi kahan hai miyan
ab gunah bhi toh khaak udaana hai
ab vo tardaamni kahan hai miyan
kucha-e-yaar jisko kehte thay
ab vo kuu[kuucha] vo gali kahan hai miyan
ab se pehle jot hi hasinon mein
aaj vo dilbhari kahan hai miyan
sab vo ik shaks ki badaulat thay
ab kammi jis mein ik kashish-sii thi
vo kashish vo kammi kahan hai miyan
jis mein hum ussko dekh lete thay
aaj vo raushni kahan hai miyan
vaada-e-sham tha ab aaye ho
do ghadi raat bhi kahan hai miyan
na karo zikr-e-zindgi ki abhi
zindgi zindgi kahan hai miyan
pehle ik dard dil mein rehta tha
ab toh vo dard bhi kahan hai miyan
daur-e-begangi mein kya puuchen
vo yagana-vashi[apnapan] kahan hai miyan
khoya khoya zaroor hun lekin
iss kadar bekhudi kahan hai miyan
vo toh rukhsat hui ‘firaq’ ke saath
ab vo afsuradgi kahan hai miyan
No comments:
Post a Comment