jab teri kamat[body] ki yaadein aaiyaan
zindgi lene lagi angadaiyan
phir siyah zulfon ki yaad aayiaan
phir mere dil par ghatayen chaiyaan
ae nigahen shaunq tujhko kya kahun aaj vo aankh bohat sharmiyan
jhoomte aaye ghataon ki tarah gesu-e-shab_rang ke saudaiyan
baal-baal, usska kamande mehar-o-maah gesuye-purpech ki giraiyan
husn ko bhi ab nahin ae dil qaraar aaj toh tune qayamat dhaiyan
vo shuru-e-ishq ki pa_pardgi aur ab ye khwariyan ruswaiyan
jinko hum ek umar tak bhoole rahe aaj vo baatein bohat yaad aayiyan
ab dili choten ubhar aayin hain jab teri yaadon ki chali purwaiyan
sad makano-lamkan hain his mein bandh ek zarra khaak ki pehnaiyan
doobiye toh doobte hi jaayiye unn siyah aankhon ki uff gehraiyan
zindgi hai ya koi daste-junoon har taraf tanhaiyan tanhaiyan
sochta hun main teri yaadein na ho guzri hain nazron se kuch parchaiyan
mujhse ye baatein dam-e-fikre-sukhan kis lab-e-khamosh ne kehlaiyan
tum agar mujhse yun hi khinchte rahe door puhnchegi meri ruswaiyan
baton-baaton mein mujhe karke udas vo nigahen bhi bohat pachtaiyan
maut bhi iss raz se hai bekhabar kitni jaane ishq mein kaam aaiyan
zindgi ke dard ka karke khayal barha aankhein meri bhar aaiyan
ab vo mane ya na mane apna ahd aaj usse qasmen bohat dilwaiyan
jin mein tha kuch imtiyaze sulah-o-jung mujhko kya kya vo adayein bhaaiyan
zindgi mein ab kahan vo dilkashi ab kahan vo maut ki raa’naiyan
dekh aaye aaj yaadon ka nagar har taraf parchaiyan parchaiyan
khul chali girahen shabe-gham ki firaq
ungliyan taaron ne jab chatkhaiyan
No comments:
Post a Comment