beniyaaz-e-sahar ho gayi
sham-e-gham moatabar ho gayi
ik nazar kya idhar ho gayi
ajnabi har nazar ho gayi
zindgi kya hai aur maut kyaa
shab hui aur sahar ho gayi
unnki aankhon mein ashk aa gaye
daastan mukhtasar ho gayi
chaar tinke hi rakh paaye thay
bijaliyon ko khabar ho gayi
chhid gayi kis ki daman ki baat
khud_b_khud aankh tar ho gayi
unnkii mehfil se uthakar chale
raushani ham_safar ho gayi
'tarz' jab se chhuta karavan
ziist gard-e-safar ho gayi
No comments:
Post a Comment