main khuda se khaffa nahin hota
tu jo mujhse juda nahin hota
ye jo kandhe nahin tujhe milte
toh tu itna bada nahin hota
sach ki khatir na kholta munh gar
sar ye mera kataa nahin hota
kaise kaanton se hum nibhate phir
dil agar phool-sa nahin hota
chaand milta na raah mein uss roz
ishq ka haadsa nahin hota
puuchte rehte haal-chal agar
fansla yun badha nahin hota
chhedte tum na gar nigahon se
mann mera manchala nahin hota
hoti har shai pe malkiyat kaise
tu mera gar hua nahin hota
duur rakhta hun aaine ko kyun
khud se hi saamna nahin hota
kehti hain maan, kahun main sach hardam
kya karun haunsla nahin hota
No comments:
Post a Comment