baqi hai abhi ishq mein kuch kar-e-ziyan aur
kuch der idhar chshm-e-tghaful meri jaan aur..
har shai ki haqiqat bhi haqiqat mein hai parda
hota toh hai kuch aur guzrta hai guman aur..
hone se tere itna hua hai ke hui hai
ik chshm-e-tahayyur meri janib nigran aur..
iss ishq mein woh khu-e-aziyyat hai ke dil se
har taaza sitam pe yeh sada aaye ke, haan aur !!
kuch der abhi aur yahi ronaq-e-mehfil
kuch der hadis-e-lab-e-shirin-sukhn'an aur..
ab mere siva koi nahin hai mera mehram
ab dil ke siva koi nahin jai'amaan aur..
koi bhi nahin hizr mein ab sar-ba-gareban
ab shehr ke gham aur hain, adab-e-fughan aur..
dastar gayi sar se magar sar hai salamat
kuch perwi-e-maslak-e-ashafta saraan aur
woh bojh latafat ka uthana hi kathin tha
ab ruuh pe hasti ka hai ik bar-e-giran aur..
be-perahani mein toh woh jo kuch hai, wohi hai
jab husn ho pardai mein toh hota hai ayaan aur..
duniya ko samjh kar bhi hun khamosh ke akhir
kuch din abhi rehna hai mujhe bhi toh yahan aur..
irfan tera tarz-e-sukhan khub hai lekin
kehte hai ke ghalib ka hai andaz-e-bayan aur..
No comments:
Post a Comment