aaj kisi ne baaton baaton mein, jab unnka naam liya
dil ne jaise thokar khaayi, dard ne badhkar thaam liya
ghar se daman jhad ke nikale, vehshat ka samaan na puuch
yaanii gard-e-raah se ham ne, rakht-e-safar ka kaam liya
diwaaron ke saaye-saaye, umar bitaayi diwaane
muft mein tanasani-e-gham[to carry the burden of sorrow] ka apne par illzam liya
raah-e-talab mein chalte chalte, thak ke jab ham chuur huye
zulf ki thandii chaanv mein baithe, pal do pal araam liya
hont jalen ya seena sulage, koi taras kab khata hai
jaam ussi ka jis ne 'tabaan', jur'aat se kuch kaam liya
No comments:
Post a Comment