jaavedaani bhi aur faani bhi
kya ajab shai hai zindgani bhi
cheen leta hai zindagi aksar
baadalon se barsta paani bhi
naujawan aaj ka yeh kehta hai
ek aafat hai yeh jawani bhi
maana aurat khuda ki rehmat hai
na bujhe piyaas aisa paani bhi
haq ki aaghosh jannati jhoola
"neend bhi raat bhi kahani bhi"
apni' haamid' haseen guzri hai
zindagani bhi aur jawani bhi
No comments:
Post a Comment