Thursday, June 4, 2009

ibrahim zauq ki shayyiri

layi hayaat aaye qaza le chali chale
na apni khushi aaye na apni khushi chale
behatar toh hai yahi ke na duniya se dil lage
par kya karen jo kaam na bedil_lagi chale
ho umar-e-khizr bhi toh kahenge ba_waqt-e-marg
hum kya rahe yahan abhi aaye abhi chale
duniya ne kis ka raah-e-fana mein diya hai saath
tum bhi chale chalo yun hi jab tak chal chale
naazan na ho khirad pe jo hona hai vo hi ho
daanish[intellect] teri na kuch meri daanishvarii chale
kam honge iss bisaat pe hum jaise bad_qimaar
jo chaal hum chale vo nihaayat buri chale
ja ki hawa-e-shauq mein hain iss chaman se 'zauq'
apni bala se baad-e-saba kahin chale

No comments:

Post a Comment

wel come