Friday, June 5, 2009

iram lucknawi ki shayyiri

vo ye kehte hain ke jaab ab rustgaari ho gayi
ae muhbbat aur ye zanjiir bhaari ho gayi
aas kya kya thi unnse hum-dardi ki thi aur aaj vo
aaye, dekha, kuch na pucha, gham-gusaari ho gayi
khiinchte thay, khud chale aaye khiinche meri taraf
ikhtiyari thi kashish, be-ikhtiyari ho gayi
jaise dil ki aag bhadkana ussi ka farz tha
iss taraf se aag yun baad-bahari ho gayi
koi kuch samjhe magar hassaas[senstive] dil ki maut hai
khatam jis manzil par aa kar be-qaraari ho gayi
khak-e-rah ban kar kiya tha khaiir-maqdam[welcome] ishq ka
phir vahi taaziim[respect] shaan-e-vazaa-daari[conduct] ho gayi
aaiine mein apni surat dekhe jaata tha main
daf-atan[at once] pesh-e-nazar surat tumhari ho gayi
dil se yun rukhsat hui dil ki tamanna-e-'iram'
aur bhi miti hui tasveer pyaari ho gayi

No comments:

Post a Comment

wel come