Thursday, June 4, 2009

irfan siddiqui ki shayyiri

sochta hun ki mahfooz kar lun isse apne seene mein lafz-o-bayaan ki tarah
thodi hi der mein yeh mulaqaat bhi khatam ho jayegi daastan ki tarah
ye rafaaqat bohat mukhtsar[short] hai meri humsafar laa mere haath mein haath de
tu hawa-e-sar-e-rahguzar ki tarah, main kisi nakht-e-rayegan ki tarah
haal zaalim shikaari ki surat mujhe, waqt ki ziin[saddle] se baandh kar le chala
mera maazi mere saath chalta raha door tak ek majboor maan ki tarah
sang-e-aazaar ki baarishen tez thi, aur bachne ka koi tariqa na tha
rafta rafta sabhi ne saron par koi be-hisi taan li saayeban ki tarah
khwahishon ke samandar se ek mauj uthi, aur sail-e-bala-khez banti gayi
zism kashti ki maanind ulatne lage, pairahan udd gaye baadban ki tarah

No comments:

Post a Comment

wel come