kabhi jo nikhat-e-zulf[perfume of hair]-e-nigaar aayi hai
faza-e-murda-e-dil[dead heart's environment] mein bahar aayi hai
zaruur teri gali se guzar hua hoga
ki aaj baad-e-saba beqraar aayi hai
koi dimaag tasavvur bhi jinnka kar na sake
ye jaan-e-zaar vo lamahen guzaar aayi hai
khuda gawah ki unnke firaaq mein 'kausar'
jo saans aayi hai vo sogavaar aayi hai
No comments:
Post a Comment