ae maut! unnhen bhulaye zamane guzar gaye
aa ja ki zehar khaye zamane guzar gaye
O ! jaane wale aa ki tere intzar mein
raste ko ghar banaye zamane guzar gaye
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se nijaat paaye zamane guzar gaye
kya laayaq-e-sitam bhi nahin ab main doston
patthar bhi ghar mein aaye zamane guzar gaye
jane bahar phuul nahin aadmi hun main
aa ja ki muskuraye zamane guzar gaye
kya kya tavaqqoat thi aahon se ae ‘khumar’
ye teer bhi chalaye zamane guzar gaye
No comments:
Post a Comment