ham ki magaluub-e-guman[defeated by doubt] thay pehle
phir vahin hain ki jahan thay pehle
khwahishen jhurriyaan ban kar ubharen
zakhm seene mein nihan[hidden] thay pehle
ab toh har baat pe roa dete hain
waaqif-e-suud-o-ziyaan[aware of profit and loss] thay pehle
dil se jaise koi kaanta nikala
ashk aankhon se ravaan thay pehle
ab faqat anjuman_aaraayi[decoration] hain
aitbaar-e-dil-o-jaan thay pehle
dosh[shoulder] pe sar hai ki hai barf jami
ham toh sholon ki zubaan thay pehle
ab to har taaza sitam hai tasliim
hadse dil pe garaan thay pehle
meri ham_zaad hai tanhaai meri
aise rishte bhi kahan thay pehle
No comments:
Post a Comment