yun dosti ke naam ko rusva na kijiye
tark-e-taalluqat ka charcha na kiijiye
zurm-o-sitam ka paas bhi ulfat mein shart hai
palakon ko aansuon se bhigoya na kijiye
aisa na ho ummid se rishta hi tuut jaaye
har roz mujhse vaada-e-farda na kijiye
hamdard jisko apana samjhte rahe hain aap
usska hi zindagi men bharosa na kijiye
"mahir" vafuur-e-gham se na ghabraiye kabhi
khuddari-e-hayat ko rusva na kijiye
Ratlami Chatora
ReplyDelete