saara alam gosh-bar[kaan lagaye huye] aawaz hai
aaj kin haathon mein dil ka saaz hai ?
tu jahan hai zamzama parwaz hai
dil jahan hai gosh-bar aawaz hai
haan zara zur'aat dikha re zazbe dil
husn ko parde pe ane naaz hai
ham-nashii dil ki haqiqat kya kahun
soz mein duuba hua ik saz hai
aap ki makhmoor aankhon ki qasam
meri mai-khwari ab tak raz hai
hans diye vo mere rone par magar
unnke hans dene mein bhi ik raz hai
chhip gaye veh saaze hasti chheddkar
ab toh bas aawaz hi aawaz hai
husn ko nahak pasheman kar diya
ae junoon yeh bhi koi andaaz hai
saari mehfil jis pe jhoom uthi 'majaz'
veh toh aawaz-e-shikast-e-saaz hai
No comments:
Post a Comment