dair-o-kaba ka main nahi qayal
dair-o-kaba ko aastan na bana
mujh mein tu ruuhe sarmadi matphonk
raunq-e-bazm-e-aarifan na bana
dasht-e-zulmaat mein bhatkane de
meri raahon ko qehqasan na bana
ishart-e-zahal-b-tergi mat cheen
mehram-e-raaze do jahan na bana
bijliyon se jahan na ho chashmak
uss gulistan mein aaishiyan na bana
khaare chashm-e-hareef rehne de
hirze bajuye dostan na bana
meri khud bainiyan na le mujhse
jalwaye afroze mahoshan na bana
dile sad paraye hawadish ko
takhte mashke gul rukhan na bana
meri khud'dariyon ka khoon na kar
mutribe bazme dilbaran na bana
maho anjum se mujhko kya nisbat
mujhko innka mijazdaan na bana
jisko apni khabar nahin rehti
ussko saalre karvan na bana
meri jaanib nigahen lutf na kar
gham ko iss darza kamran na bana
iss zamin ko zamin hi rehne de
iss zamin ko tu aasman na bana
meri hasti niyazo shaunq sahi
issko unnwane dastan na bana
raaz tera chip nahi sakta
tu mujhe apna razdaan na bana
No comments:
Post a Comment