taskeen-e-dil-e-mahazu na hui vo sai-e-qaram farama bhi gaye
us sai-e-qaram ka kya kahiye behla bhi gaye tadpa bhi gaye
ek arz-e-vaffa bhi kar na sake kuch keh na sake kuch sun na sake
yahan ham ne zaban hi khole thi vahan aankh jhuki sharma bhi gaye
aashuftgi-e-vehshat ki qasam hairat ki qasam hasrat ki qasam
ab aap kahe kuchh ya na kahe ham raaz-e-tabssum pa bhi gaye
rudaad-e-gham-e-ulfat unnse ham kya kehte kyonkar kehte
ek harf na nikla hothon se aur aankh mein aansuu aa bhi gaye
arbaab-e-januun pe furkat mein ab kya kahiye kya kya guzra
aaye thay savaad-e-ulfat mein kuch kho bhi gaye kuch pa bhi gaye
ye rang-e-bahar-e-alam hai kya fiqr hai tujhko ae saaqi
mehfil to teri suni na hui kuch uth bhi gaye kuch aa bhi gaye
iss mehfil-e-kaif-o-masti mein iss anjuman-e-irafani mein
sab zaam-ba-kaf baithe rahe ham pi bhi gaye chhhalka bhi gaye
No comments:
Post a Comment