saaman-e-tizarat mera imaan nahin hai
har dar pe jhuke sar ye meri shaan nahin hai
har lafz ko seene mein basa lo toh bane baat
taakon[shelf] mein sajane ko ye quran nahin hai
allah meri rizq ki barkat na chali jaaye
do roz se ghar mein koi mehmaan nahin hai
ham ne toh banaye hain samandar mein bhi raste
yun hamko mitana koi asaan nahin hai
jis ko buzurgon ki rivayat na rahe yaad
uss shaks ki logon koi pehchan nahin hai
No comments:
Post a Comment