tujhse bichda hun toh murjha ke hawa-bard hua
kaun deta mujhe khilne ki dua tere baad !
tu ke simta toh rag-e-jaan ki hadhon mein simta
main ke bikhra toh smeta na gaya tere baad !
milne wale kai mafhoom pehan kar aaye !
koi chehra bhi na aankhon ne padha ter baad !
ye allagh baat ke afsha na hua tu varna
maine kitna tujhe mehsoos kiya tere baad !
meri dukhti hui aankhon se gawahi lena
maine socha tujhe apne se siva tere baad
seh liya dil ne tere baad malaamat ka azaab
varna chubhti hai rag-e-jaan main hawa tere baad
jaan-e-'mohsin' mera hasil yahi mubham satrein
shair kehne ka hunar bhool gaya tere baad !
No comments:
Post a Comment