Tuesday, June 2, 2009

nasir kazmi ki shayyiri

dil mein aur toh kya rakha hai
tera dard chhupa rakha hai
itne dukhon ki tez hawa mein
dil ka deep jala rakha hai
iss nagri ke kuch logon ne
dukh ka naam dawa rakha hai
vada-e-yaar ki baat na chedo
ye dhoka bhi kha rakha hai
bhool bhi jaao beeti baaten
inn baaton mein kya rakha hai
chup chup kyun rahte ho 'nasir'
Yeh kya rog laga rakha hai

No comments:

Post a Comment

wel come