unnse gar rabita nahin hota
darmiyan faansla nahin hota
main bhi khud se khaffa nahin hota
tu jo mujhse juda nahin hota
phir koi haadsa nahin hota
tu jo kud se khaffa nahin hota
tu jo mujhse mila nahin hota
main bhi khud ko dikha nahin hota
sach se gar vasta nahin hota
kuch bhi toh khwab-sa nahin hota
thhan hi len jo ghar se chalne ki
phir kahan raasta nahin hota
roz kuch toot'ta hain andhar ka
haan magar, shor-sa nahin hota
sach ki taalim pa toh len maula
kya karen daakhila[enterance] nahin hota
unnse kehne ko hai bohat lekin
unnse bas saamna nahin hota
yaad rehte hain haq unnhen apne
farz jinse adaa nahin hota
roz marte hain khwab seene mein
ab koi khuaff-sa nahin hota
aznabiyat ne veham saaf kiya
aashna, aashna nahin hota
zakhm itna bada nahin phir bhi
dard dil ka hawa nahin hota
khud ko kho kar mili samandar se
ye nadi ko gila nahin hota
log milte hain, phir bichadte hain
har koi ek sa nahin hota
dushmani khud se gar nahin hoti
koi jangal kata nahin hota
yaad jinda tha yaad qayam hai
khatam ye silsila nahin hota
aankh hoti hai gaar glass nahin
ab koi paarsaa'n nahin hota
ishq ki raah pe chala hi nahin
paer[feet] jo aabla[chhale] nahin hota
haaye dil ko bhi ye khabar hoti
dard hota hai ya nahin hota
chhachh peene se khauff kyun khaata
dhoodh se gar jala nahin hota
saath mere vahi hua aksar
jo bhi pehle nahin hua hota
haan, tujhe bhoolna hi achcha hai
kya karen hausla nahin hota
subah aati hai laut jaati hai
der tak jaagna nahin hota
soch ka farq hai yaqeen karo
waqt koi bura nahin hota
kaam aata hai ek duuje ke
aadmi kab khuda nahin hota
tum bhi badle agar nahin hote
main bhi kuch aur sa nahi hota
baat yeh aur hai na dekh sako
varna aankhon mein kya nahin hota
meer-mommin na keh gaye hote
humne bhi kuch likha nahin hota
saaf sun lo yaqeen mat karna
humse vaada waffa nahin hota
khwab saare hi jab se toot gaye
ab koi rat-jaga nahin hota
aadatan log ab siharte hain
go koi haadsa nahin hota
baat mazloom ki sune koi
ab yahi mauzaza nahin hota
tum jo gairon ke kaam aate ho
tumse apna bhala nahi hota ?
chal mere yaar zara-sa hans len
aaj kal kuch pata nahin hota
har adavat ki dhoop seh leta
dil agar phool sa nahin hota
vo hai apna ya gaiir ka 'navneet'
humse ye fainsla nahin hota
No comments:
Post a Comment