hamen yeh roz-e-shab ka silsila achcha nahi lagta
kisi se baat karna ho koi bhi zakhm bharna ho
kabhi be-haal ho kar koi jaan se guzarna ho
tumhari yaad mein rehna ho ke khud se mukarna ho
kisi harf-e-tasali se yeh dil ka zakhm bharna ho
mohbbat ki duwa honton pe rukh pe muskurana ho
darkhaton pe tumhara naam likh kar bhool jana ho
kisi be-khwab shab mein chasm-e-viraan ko sulana ho
tumhari khusbhon se khema-e-jaan ko sajana ho
ya phir shehr-e-sakoot-e-shaam-e-gham mein geet gana ho
yunhi bewajah keefiat mein ashkon ko bahana ho
kisi jazbe ka bhi chehra hamen sacha nahi lagta
ke ab toh roz-o-shab ka silsila achcha nahi lagta
No comments:
Post a Comment