azeez itana hi rakho ke ji sambhal jaaye
ab iss qadar bhi na chaho ke dam nikal jaaye
mile hain yun toh bahut aao ab milen yun bhi
ke ruuh garmii-e-anfaas se pighal jaaye
muhabbton mein ajab hai dilon ko dhadka sa
ke jaane kaun kahan rasta badal jaaye
rahe vo dil jo tamnna-e-taaza tar mein rahe
khusha vo umar jo khwabon hi mein behal jaaye
main vo charag-e-sar-e-rahguzar-e-duniya hun
jo apani zaat ki tanhaiyon mein jal jaaye
har ek laheja yahi aarazu yahi hasrat
jo aag dil mein hai vo sher mein bhi dhal jaaye
No comments:
Post a Comment