main ye kis ke naam likhon jo alam guzar rahe hain
mere shehr jal rahe hain, mere log marr rahe hain
koi guncha ho ke gul ho, koi shaakh ho shajar ho
vo hawa-e-gulstaan hai ke sabhi bikhar rahe hain
Kabhi rehmatein thi nazil issi khita-e-zameen par
vohi khitta-e-zamee'n hai ke azaab utar rahe hain
vohi taaron ke jhurmut jo hawa mein jhoolte thay
vo fiza ko dekhte hain toh ab aah bhar rahe hain
badi aarzu thi humko naye khwab dekhne ki
so ab apni zindagi mein naaye kwhab bhar rahe hain
koi aur toh nahi hai pas-e-khanjar aazmaayi
hami qatl ho rahe hain, hami qatal kar rahe hain
No comments:
Post a Comment