Thursday, June 4, 2009

qaiser ul jafri ki shayyiri

tumhare shahr ka mausham bada suhana lage
main ek shaam chura lun agar bura na lage
tumhare bas mein agar ho toh bhuul jaao hamen
tumhen bhoolne mein shayad mujhe zamana lage
hamare pyar se jalane lagi hai ye duniya
dua karo kisi dushman ki bad_dua na lage
najaane kya hai usski bebaak aankhon mein
vo munh chhupa ke jaaye bhi toh bewaffa na lage
jo dubanaa hai toh itne sukoon se duubo
ke aas paas ki leharon ko bhi pata na lage
ho jis adaa se mere saath bewaffai kar
ke tere baad mujhe koi bewaffa na lage
vo phool jo mere daaman se ho gaye mansoob
khuda kare unnhen bazaar ki hawa na lage
tum aankh muund ke pii jaao zindgi 'qaiser'
ke ek ghoont mein shayad ye bad_mazaa na lage

No comments:

Post a Comment

wel come