Saturday, June 6, 2009

qarar jafree ki shayyiri

azaab-e-jaan muqaddar ho gaya hai
soch thi kya yeh kaisa ho gaya hai
mohbbat ki jo pyasi sar_zameen thi
wahan mera samandar kho gaya hai
asaani rasta roke hui hai
muqaddar toh kabhi ka soa gaya hai
yeh wa'az do rak'at ke molvi hain
bilali azm toh ab kho gaya hai
zamane meri raaton ka yeh girya
mera amaal nama dho gaya hai
sheikh ka vajan jo badh gaya bohat
hawa ka rukh udhar ko ho gaya hai
qarar-e-zist humse chhin gaya hai
jise dekho usse kuch ho gaya hai

No comments:

Post a Comment

wel come