bichad gaya hai toh ab uss se kuch gila bhi nahin
ke sach toh ye hai vo ik shakhs mera tha bhi nahin
main chahta hun usse aur chahne ke siva
mere liye toh koi aur raasta bhi nahin
ajeeb raah guzar thi ke jis pe chalte huye
qadam ruke bhi nahin rasta kata bhi nahin
dhuaan sa kuch toh miyaan ! barf se bhi uthta hai
so dil-jalon ka ye aisa koi pata bhi nahin
ragon mein jamte huye khuun ki tarha hi 'saud'
vo harf-e-hizr jo uss ne abhi kaha bhi nahin
No comments:
Post a Comment