karb chehre se maah-o-saal kaa dhoya jaaye
aaj fursat se kahin baith ke roya jaaye
phir kissi nazm ki taamid uthaayi jaaye
phir kisi jism ko lafzon mein samoya jaaye
kuch toh ho raat ki sarhad mein utarane ki sazaa
garm suraj ko samundar mein duboya jaaye
itani jaldi toh badalte nahin honge chehre
gard_aaluud hain aaiine ko dhoya jaaye
maut se Khauff_zada jiine se bezaar hain log
iss almiya pe hansa jaaye ki roya jaaye
No comments:
Post a Comment