raham ae gham-e-jaanaan baat aa gayi yaan tak
dasht-e-gardish-e-dauran aur mere gareban tak
kaun sar ba kaf hoga, jashn-e-daar kya hoga
zoq-e-sarfaroshi hai ek dushman-e-jaan tak
hamasafeer phir koi hadasa hua shayad
ik sajab udasi hai gulsitan se zindan tak
hamnashin baharon ne kitne aashian phuunke
hum toh kar hi kya lete, so gaye nigehban tak
ik hum hi lagayenge khaar-o-khas ko seene se
varna sab chaman mein hain, mausam-e-bahaaran tak
mere dastak-e-vahshat ko aaj rok lo varana
fasila bahut kam hai haath se gareban tak
hai ‘shamim’ azal hi se silsila muhbbat ka
halqa-e-salasil se gesoo-e-pareshan tak
No comments:
Post a Comment