pii kar bhi tabiyat mein talkhi hai giraani hai
iss daur ke sheeshon mein sehbaa hai ki paani hai
iss shahr ke qaatil ko dekhaa toh nahin lekin
maqtal se jhalkta hai qaatil ki jawani hai
jalta tha jo ghar mera kuch log ye kehte thay
kya aag sunhari hai kya aag suhaani hai
iss fan ki latafat ko le jaaon kahan aakhir
pathar ka zamaana hai sheeshe ki jawani hai
kya tumse kahen kya hai aahang 'shamim' apna
sholon ki kahani hai shabnam ki jawani hai
hello Ms.! (couldn't find your name)
ReplyDeleteI'm Mr. Shamim Karhani's grandson, so if you want more of his ghazals i can provide it for you..
e-mal me at syedsabeehkarhani@gmail.com
hope to see a reply from you soon..
God Bless!
My name . Irshad karhani muhallah.Ataganj vill.post karhan
ReplyDeleteshamim karhani ke bachcho se guzaris hai ki aur dua hai meri ke qatil ki jawani nazm to mujhe bahut pasand ayi .ab ap jagao na bapu ko need agayi nazm net par dalne ki takleef kare ain nawazis hogi.
That's very nice to hear :)
ReplyDelete'Jagao Na Bapu Ko...' is available at this:
https://docs.google.com/viewer?a=v&pid=explorer&chrome=true&srcid=0B3WdJB4l6_3hNmE5ZTU4NmEtOTY0Ni00ZGIxLWI5N2UtMjkwOTgxZjc5NTRl&hl=en_US
Thank you :)