bhula do ranj ki baaton mein kya hai
idhar dekho merii aankhon mein kya hai
bahut taariik[dark] din hai phir bhi dekho
ujaala chandni raaton mein kya hai
nahin paatiin jise bedaar[wakeful] nazarein
khudaya ye mere khwabon mein kya hai
ye kya dhuundhe chale jaati hai duniyaa
tamasha-sa gali-kuuchon mein kya hai
hai vehashat-si ye har chehre pe kaisi
na jaane seham-sa nazaron mein kya hai
ye ik haijaan[disturbance]-sa dariya mein kyon hai
ye kuch samaan[arrangement]-sa maujon mein kya hai
zara-sa bal hai ik zulfon ka usski
vagarna zor zanjiiron mein kya hai
hain khamyaze[result] suruur-e-aarzu ke
nishat-o-gham[happiness and sorrow] kaho naamon mein kya hai
tumhari der-aamezi[late for a meeting] bhi dekhi
takalluf[formality] lakhanau waalon mein kya hai
No comments:
Post a Comment