Thursday, June 4, 2009

sufi ghulam mustafa tabassum ki shayyiri

lagaana dil kisi na-mehrbaan se
zamiin ki dosti hai aasman se
nazar aate thay tum toh be-zuban se
ye baaten aa gayin tumko kahan se
nazar aaye hain vo kuch mehrbaan se
giregi koi bijli aasman se
ye nang ajz hai ek baar rakh kar
uthaana sar kisi aastan[entrance to a house] se
wisal-e-jaavidaani[eternal company] chahta hun
magar vo zindgi laaun kahan se
unhen baaton se jo betaab kar de
ilaahi vo zubaan laaun kahan se
karen kya unnse izhaar-e-muhbbat
vo sun lenge hamaare raazdaan se

No comments:

Post a Comment

wel come