dua nahi toh gila deta koi
mer waffaon ka sila deta koi
jab muqaddar hi nahi tha apna
deta bhi toh bhala kya deta koi
hassil-e-ishq faqat dard hai
ae kaash pehle hi bata deta koi
taqdeer nahi thi agar aasman chuuna
khaaq mein hi mila deta koi
bewaffa bhi hamen bewaffa keh gaya
iss se ziyada kya daga deta koi
gumaan hi ho jaata kisi apne ka
daaman hi pakar kar hila deta koi
arse se atka hai hitchkiyon pe dam
achcha hota jo bhula deta koi
yeh toh roa roa ke kat gayi zindgi
kya hota agarche hassa deta koi
No comments:
Post a Comment