Saturday, June 20, 2009

unknown

main bhoolne lagi hun beete dinon ki baatein
utri hain zehan se sab woh raushni ki baatein
jab naam se tumhare suraj nikal raha tha
jab tak tumhe na dekha din bhi na dhal raha rha
rehti thi khoi khoi main yaad mein tumhari
jalwon se tere ye dil pehlu badal raha tha
paaun teri hansi se mehakte gulon ki khushbu
har simt aarzu ka chashma ubal raha tha
ab yaad bhi karun toh reh reh ke bhul jaaon
vo kaun tha sehar jo sath chal raha tha

No comments:

Post a Comment

wel come