Saturday, June 6, 2009

unknown

aankhon mein khumaar aaj bhi hai
vo aayenge ek-na-ek din
dil ko ye gumaan aaj bhi hai ..
dil-o-jaan se chahte hain unnko
kaash ! ye khabar unnko aaj bhi ho ...
vo milenge kahin-na-kahin
dil ko ye aas aaj bhi hai ...
din toh guzar jata hai jaise-taise
magar raaton mein tanhai aaj bhi hai ...
vo nahi, unnki yaddein hi sahi
dil ko unnki jusstju magar aaj bhi hai ...
vo aayenge dil cheekh cheekh ke kehta hai
magar vo na aaye toh kya hoga
dil ko ye khayal aaj bhi hai ...

No comments:

Post a Comment

wel come