Tuesday, June 2, 2009

ghalib ki shayyiri

bas ki har ik unnke ishare mein nishaan aur
karte hain muhobbat toh guzarata hai gumaan aur
yaa rab ! vo na samjhe hain na samjhenge meri baat
de aur dil unnko, jo na de mujhko zubaan aur
abroo se hai kya us nigah-e-naaz ko paiwand
hai teer muqarrar magar uski hai kamaan aur
tum shehr mein ho toh hamen kya gham ? jab uthenge
le aayenge bazaar se jaa kar dil-o-jaan aur
harchand subak_dast[expert] hue buut_shikani mein
hum hain, toh abhi raah mein hai sang-e-giraan aur
hai khoon-e-jigar josh mein dil khol ke rota
hote kai jo dida-e-khoon_aaba[blood and water]_fishaan[shed tears of blood] aur
marta hun iss aawaz pe harchand sar udd jaaye
jalaad ko lekin vo kahe jaayen ki 'haan aur'
logon ko hai khursheed[sun]-e-jahaan taab[power] ka dhoka
har roz dikhaata hooN main ik daag-e-nihaan[hidden] aur
leta, na agar dil tumhe deta, koi dam cheen
karta, jo na marta koi din, aah-o-fughaan aur
paate nahin jab raah, toh chad jaate hain naale
rukti hai meri tab'a to hoti hai ravaan aur

No comments:

Post a Comment

wel come