intzaar ki hadh se guzar gaye
hum apne ikhtiyar ki hadh se guzar gaye
likhi gayin naseeb mein kuch aisi hizratein
har ajnabi diyar ki hadh se guzar gaye
jagi hai apne dil mein gulabon ki aarzu
jab mausam-e-bahar ki hadh se guzar gaye
ab zakhm haaye dil ka kahan tak shumar ho
yeh zakhm toh shumar ki hadh se guzar gaye
teri nigah-e-mast se hum itne pii gaye
itni ke har khummar ki hadh se guzar gaye
ehsaas mar chuka hai khushi hai na gham koi
jaise ke jeet haar ki hadh se guzar gaye
hasrat se mauj-e-gham bhi hamen dekhti rahi
hum behr-e-bar kinaar ki hadh se guzar gaye
aati hain saaf saaf nazar gham ki manzilein
yeh qafile gubar ki hadh se guzar gaye
No comments:
Post a Comment