ek chehra sath sath raha jo mila nahi
kis ko talash karte rahe kuch pata nahi
shiddat ki dhuup tez hawaaon ke bawjuud
main shakh se gira hun nazar se gira nahi
aakhir ghazal ka taj mahal bhi hai maqbara
hum zindgi thay humko kisi ne jiya nahi
tarikhyon main aur chamakti hai dil ki dhuup
suraj tamam raat yahan duubta nahi
kis ne jalayi bastiyan bazar kyon lute
main chand par gaya tha mujhe kuch pata nahi
No comments:
Post a Comment