yeh mumkin hai ke tum ko aaj koi koi kal likh de
bahut mushkil hai tum pe koi mujh jaisi ghazal likh de
baharan char suu hai aur mila daar-o-rasan mujhko
meri tahreer ki shaakhon pe maula koi phal likh de
bure anjaam se darta tha aur ab bhi pareshan hun
juda mat kar ya de de maut ya phir koi haal likh de
bahut aasan raahein thin jo ab dushwaar lagti hain
tu nafrat ka mohbbat se zara radd-o-badal likh de
jo hona hai wohi hoga yehi dastoor-e-duniya hai
likha kab tal saka hai jo khuda roz-e-azal likh de
No comments:
Post a Comment