bol ke lab aazad hain tere
bol zabaan ab tak teri hai
tera sutvaan jism hai tera
bol ke jaan ab tak teri hai
dekh ke aahangar[blacksmith] ki dukaan mein
tund[bright] hain shole surkh hai aahan
khulne lage qulon ke dahaane
phailaa har ek janjir ka daaman
bol ye thora vaqt bahut hai
jism-o-zubaan ki maut se pahle
bol ke sach zinda hai ab tak
bol jo kuch kehna hai keh le
No comments:
Post a Comment