zindgi mere liye keemati nemat teri
mujhko paida kiya tune yeh hai kudrat teri
imtihan lunga main do chaar baras karke gunah
zurm mere hain zyada ke hai rehmat teri
khalik hai har ek shai ka, bata tu hi bata
main banda hun aur tu hai khuda, tu hi bata
karta hun bura main toh saza dera hai
"hum dono mein kya farak raha tu hi bata"
sabar de ya mere zakhmon ko masiha de de
varna phir mujhko tadapne ka salika de de
thak ke be-noor hui dhoondhne wali aankhein
ab elahi mere pairon mein ujaala de de
umar bhar jisne kadi dhuup mein rahat di hai
uss sulagti hui divaar ko saaya de de
aarzu hai ki kisi aankh mein aansoo na rahe
mere haathon mein koi aisa khilona de de
No comments:
Post a Comment