mujhe yad koi dua nahin, mere humsafar abhi soch le
tu meri jabeen pe likha nahin, mere humsafar abhi soch le
abhi rasta bhi hai dhool mein, abhi fayda bhi hai bhool mein
abhi mujhe tujhse gila nahin, mere humsafar abhi soch le
main janam janam se naraaz hun, main janam janam se udaas hun
main kabhi bhi lhul ke hassa nahin, mere humsafar abhi soch le
tu hai khwab khwab pukara, meri aankh mein nahin ashq bhi
main muddaton se jiya nahin,mere humsafar abhi soch le
tujhe khusbhuon ki hai arzu, tujhe roshni ki hai justju
main hawa nahin, main diya nahin, mere humsafar abhi soch le
tujhe aansuon ka pata nahin, tujhe ratjagon ka guman nahin
tujhe iss se aagay pata nahin, mere humsafar abhi soch le
kahin chuth sakta hai darmiyan, na zamiin milegi na aasmaan
tujhe raston ka pata nahin, mere humsafar abhi soch le
mujhe dhoondhta hi phirega tu, na jiyega roz marega tu
main kabhi bhi ghar pe mila nahi, mere humsafar abhi soch le
kaho lautna hai kise yahan mere dard sun mere meharban
mere paas waqt zara nahin, mere humsafar abhi soch le
No comments:
Post a Comment