ik jaisi lagti hai chudiyan aur ladkiyan
toot'ti hain aur hasti hain chudiyan aur ladkiyan
naaz ki inteha hai ek zara si thais se
toot kar bikharti hain chudiyan aur ladkiyan
zindgi ki dhadkanon ko ek ridham sa deti hain
zeest ko sajati hain chudiyan aur ladkiyan
pyar ki ruton par bhi kya nikhar aata hai
be-wajah khanakti hain chudiyan aur ladkiyan
apne dukhon ko dil ke saath rakh kar bhool jaati hain
kis qadat chamkati hain chudiyan aur ladkiyan
ek jaisi lagti hain chudiyan aur ladkiyan .....!!
No comments:
Post a Comment