hayat ke ujde dayyar mein kuch taarikhiyan abhi aur hain
naseeb ke bigde nisaab mein kuch talkhiyan abhi aur hain
maine phir se tinke jod kar socha ke banaaon ek ghar
mujhe tabhi falak se nawa mili ke wahan badliyan abhi aur hain
yahi dekh ab ke tere khwaqb sab kyun dhal gaye hain saraab mein
dil-e-bekhabar zara hosh kar ke tere imtihaan abhi aur hain
vo daagh yaadon ke bad_numa tune mitaye toh hain par sab nahi
masiha-e-waqt mere zehan par aise kuch nishan abhi aur hain
ae tufan-e-hawa zara phir se aa inn bastiyon mein har uss jagah
jahan bach gaye hain chand ghareeb aise kuch makaan abhi aur hain
main chaahon agar bhi toh kis tarah supard-e-ajal ho jaaon abhi
ke iss soukhta jaan ke hisab mein qarz-e-dostan abhi aur hain
abhi khwahishon mein lage raho zara saans lene ko ruko nahi
mujhe hai yaqeen yahin aas paas naaye aasman abhi aur hain
No comments:
Post a Comment